शुक्रवार, 29 अक्तूबर 2010

"NAARI TU SABLA HAI"

'NAHI RAHI ABLA TU, NAARI AB SABLA HAI"

FOOLON  SI VO KOMAL,
NARAM HO JAISE NAVNEET,
NOOTANSHAKTI BHARNE VALI,
OJMAYEE JWALA HAI.
'NAHI RAHI ABLA TU, NAARI AB SABLA HAI"

KOMAL MANN ME RAHNE VALI,
TANYAPRIYA JANNI TU,
VIRAH MILAN KI DHOOP CHHANV ME,
KHOI SHAKUNTALA HAI.
'NAHI RAHI ABLA TU, NAARI AB SABLA HAI"

AADHARSHILA SUNDARTA KI TU,
LAGTI KOI PARI SI,
MANU KI CHAPAL CHANCHAL TARUNI ,
ANDHKAARMAY JEEVAN PATH PAR,
JAISE CHANDRAKALA HAI.
'NAHI RAHI ABLA TU, NAARI AB SABLA HAI"

KARUNA KI PRATIMA HAI FIR BHI,
VIYOG NE BHI CHHALA HAI,
MAMTAMAYI, MAMTASAGAR TU,
TERE HI PRAKASH SE TO,
JAGMAG DEEP JALA HAI.
'NAHI RAHI ABLA TU, NAARI AB SABLA HAI"

रविवार, 3 अक्तूबर 2010

"FAISLA"

Vo kahte hain ki..
Bharat ki janta faisle se oopar uthkar sochne lagi hai,
Kbhi socha hai kyun uski soch badal gai hai,
Are bhai kyun nahi badlegi soch,
Is manhgai me rozi roti ki chinta se hi kamar toot jati hai,
To kya khaq sochegi faisle ke bare mein,
Aur haan ab apna bhla bura samajhne lagi hai,
Achchhi tarah jan gai hai Ki...
"Rajneeti seedha kar leti hai apna oollu,
Aur pees deti hai use ghun ki tarah."

शनिवार, 2 अक्तूबर 2010

"JEEVAN KI RAAH"

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi log milte hain,
Mann ke kisi kone me jakar bas hi jate hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi pal aate hain,
Os ki boondon jaisi sheetalta de jate hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh aise bhi rishte bante hain,
Reshami banhan me majbooti se kas lete hain.

Jeevan ki raah me...
Kuchh rang is tarah se bikharte hain,
Indradhanush bankar aakash me chha jate hain,

To kabhi mann me basi yaad,
To kabhi os ki sheetal boond,
To kabhi reshami komal bandhan,
To kabhi saptarangi indradhanush ...
Jaisi hai ye jeevan ki raah...........

शुक्रवार, 1 अक्तूबर 2010

KYA YAHI HAI AAZAADI??

Aazaadi-Aazaadi........
Manate aa rahe ho 63 saalon se jashn,
Par mai poochti hun?
Azaadi-Aazaadi kaisi azaadi....

Kahne ko to bharat mata mukt hui,
Gulami ki un janzeeron se,
Mathe ki chmakati hui bindia,
Aur hoton par faili muskurahat..
Sirf oopar se hi dikhati hai.

Aatankvad, jativad, naksalvad, dahashatvad,
Sampradayvad se ghirti ja rahi hai ye,
Anyay, bhrashtachar, atyachar,
Ke bojh tale dab gai hai aazaadi...

Par jashna mana kar karte ho fakra??
Ab vah angrejo ki gulaam nahi rahi,
Khud apno ki banai janzeeron se jaddi ja rahi hai,
Hamari kunthit mansikta, besharmi,
Besharmi, bevafai aur behayai ke,
Changul me tadapti is Aazaadi ko,

"Kaun fir aazaad karayega?
To fir kaisi hai ye aazaadi? kyun hai ye aazaadi?? kiske liye aazaadi???"